The First Picture
Woh thi jisne sab possible banaya. Aur main hamesha thankful rahunga ki usne kiya.
Hamari kahani kabhi slow-motion looks ya violins ke saath start nahi hui. Bilkul nahi! Ye shuru hui jab maine uski neend kharaab kar di—car ki window pe knock karke, jahan wo baithi so rahi thi. Usne upar dekha gusse wali aankhon se (shayad sunglasses ne mujhe bacha liya uske gusse se).
Phir kismat ya shayad bhookh ne humein fir milaya highway ke burger stop pe. Wahan maine uske tattoos notice kiye, bilkul waise hi jaise main ek sapne pe pichle 5 saal se kaam kar raha tha. Coincidence?
Ek aur moment? Hum sab baatein kar rahe the aur wo car k backseat pe so rahi thi, jaise hi life, sapne aur relationships ki baat aayi, wo uthi aur kafi seriously bola“You have hit the final nail in the coffin” .
Aur phir aayi woh beer wali kahani. Usne bola, “ek share karte hain?” Aur mera low-battery dimaag gaya fridge se nayi beer nikalne, instead of apni dene ke. Silly me! Waise mai baad me sikh gaya!😎
Mujhe yaad hai wo pool mein aaram se swim kar rahi thi aur main side mein bestfriend-ka-bday-hai mood mein full Naagin dance kar raha tha. Kya hi bolun!
Phir aayi woh lambi cab ride, Lonavala se Mumbai aur wapis Pune, sirf non-stop baatein.
Aur uske Mumbai pahuchne se pehle ka last stop. Highway pe mutton chawal, kya swaad tha! Aaj bhi har anniversary pe hum wahi khate hain, kyunki tradition aur taste dono hi kamaal hai!
Sirf 24 ghante huye the pehli mulakat ko, aur tabhi maine uski "The first picture" dekhi, kuch click hua aur maine mummy ko call kar ke bola “Yehi hai”.
Phir shuru hua asli test: 3 saal ka long distance, alag-alag cities, hectic work shifts, new goals, travels, uski coffee, meri chai, badalte habits, aur sabse alag - humara music taste
Jo cheez kabhi nahi badli? Saath hone ka excitement, hum dono ki growth, aur woh strong feeling jisne hamesha humein jode rakha. Aur ab?
Ab finally hum ek new journey shuru kar rahe hain jisme hum aisi hi kahaniyan roj jiyenge aur isme hum dono ko aap sab se khub saara pyaar aur saath chahiye!

Vatsala
The doctor who loves to travel
Saurav
The funny entrepreneur
Itinerary

Waise toh hum chahenge ki aap yahi colors pehne lekin isme koi jabardasti nhi 😃
Aap me se bahut log shaadi me pehle baar aa rahe honge toh jahir hai sawaal bhi baht honge!



























